hamara KURUSHETRA!!!









KURUSHETRA:



har insaan Arjun hai,


Har samay Dwapar,


Har jagah hai ek...


KURUSHETRA


...By ME!(mere blog ch main hi likhonga)


KURUSHETRA hai ek karam bhoomi.Jahan par har koi apne karam karta hai aur uska fall(fruit) prapat karta hai.Koi jeet jata hai aur koi haar.Par karam to karna hi padta hai.
Par karam bhi do tarah ke hain.Acha aur Bura.Ab acha kya hai aur bura kya kissi ko nahi pata.Bas jo Pandit Ji acha kahen woh acha aur jisse bura kahen woh bura.Hame apna dimag lagane ki kya jaroorat hai???
Par phir bhi shatir aur shararti dimag sochta to hai.Kehte hain(kaun kehta hai pata nahi)....
Mandir todho Masjid todho
par e bande kisi ka dil mat todho
Ek dil hi to saaf cheez hoti hai jahan bhagwan rehta hai. baki insaan hai hi kya,jhooth ka kafan lapete hue ik chalti firti laash!!!
Jo hota hai ache ke liye hota hai.Main nahi kehta tumhari GITA me likha hai.( from movie AKS).To kya acha bura sab phelle se decided ha?to phir hum itna sochte kyun hain kuch karne se phele?Jo mann me aata hai karo.Who is the world to stop us!!! Par phir Mahapurush apne aap ko badalne ko kyun kehte hain?( unhone AKS nahi dekhi ya GITA nahi padi?) .
Mujhe to kuch samaj nahi aaya.Sayad aap ko aaya ho.If yes,kindly tell me..........





1 comment:

Deepinder Singh said...

"Mandir todho Masjid todho
par e bande kisi ka dil mat todho"
jo bhi kehta hai bohat sahi kehta hai... and baki post teri samajh a hi gai thodi bohat ;)